What Is Affiliate Marketing ?Benefits Of Affiliate Marketing In Hindi 2021

Affiliate Marketing Introduction

online paise kamane ke baare mein aapne kabhi na kabhi to socha hi hoga aaj ke time mein internet se paise kamane ke bahut sare alag alag tarike hain jiski madad se aap ghar baithe paise kamaye sakte ho    bahut samay pahle hi affiliate marketing ka chalan shuru ho gaya tha tab se lekar ab tak affiliate marketing chal raha hain or ye pahle se jyada popular ho gaya haon or aane wale kuch salo mein ye bahu hi popular ho jayega  online aap kisi ke product ko salle karke bahut hi acchi khasi passive income kar sakte ho aaj ke is article mein hum baat karenge ki affiliate marketing kya hain ? what is affiliate marketing ? what is the benefits of affiliate marketing ? affiliate marketing ke fayede kya kya hain ? affiliate marketing kaise kare agar aap affiliate marketing sikhna chahte ho to aapko is article ko last tak padhna hoga to chaliye shuru karte hain   

What Is Affiliate Marketing ?

what is affiliate marketing

 Affiliate Marketing ek aisa process hain jiski madad se aap kis person ya company ke product ki advertisement kar sakte ho or agar koi person us product ko purchase kar leta hain to aapko uske badle mein kuch commission milti hain     Affiliate Marketing ek  parkar se online marketing ka tarika hain jiski madad se aap logo ko kisi product ke baare mein review ya bata sakte ho or agar aapke affiliate link se koi persion kisi specific product ko buy karta hain to aapko iske badle mein kuch percent commission mileti hain ye commission us affiliate program company ke hisab se hogi jisko aap join karoge ye commission 1% se lekar 30% tak bhi ho sakte hain kai baar to ye 50% se 60% bhi hoti hain      Affiliate Marketing ki ek sabse acchi baat ye hain ki aap kisi ek company ya person sath nahi balki jis bhi company ke sath aap kaam karna chahe uske sath kar sakte ho aap puri tarah se independent ho   

Benefits Of Affiliate Marketing In Hindi  

Affiliate Marketing karne ke bahut sare benefits hain usnme se Kuch benefits mein aapko aaj ke is article mein batane wala hun i hope ki aap is benefits ko padhne ke baad affiliate marketing start kar doge 


Passive Income Source

passive income source

sabse pahla or popular benefit iska ye hain ki ye aapko passive income deti hain | yadi aap apni affiliate website ya blog bana lete ho to aapke paas sales aati hi rahengi is tarah se aap affiliate marketing se passive income generate kar sakte ho jo ki bahut hi fayede ki hain     

Choose Any Company Or Product  

dusra or sabse accha benefit iska ye bhi hain ki aap kisi bhi company ke product ko promote karne ke liye independence ho aapke upar kisi company ka koi dabaf nahi hain | aap apne niche ke hisab se kisi bhi product ko promote kar sakte ho  

No Qualification Or Experience Required.

Affiliate Marketing karne ke liye aapko kisi qualification or experience ki koi jarurat nahi hain | Affiliate Marketing Business shuru karne ke liye koi aapse aapki qualification ya experience ke baare mein nahi pucchega ek bilkul naya person bhi is business ko kar sakta hain sikh sakta hain or paise bhi kama sakta hain   

Low Risk And Better Return 

Affiliate Marketing mein risk bilkul hi na ke barabar hain | or agar return ki baat kare to aapko yaha se accha khasa return mil jata hain    agar hum loss ki baat kare to aapko bas itna hi loss hoga jitna aapne apni website banane ke liye hosting or domain kharida tha bas    agar iske return ki baat kare to aapko itna milega ki aap usko sambhal bhi nahi paoge agar aap ek baar affiliate marketing mein success ho gaye to phir aapki balle balle hain   

Start For Free

Affiliate Marketing ka ek or jabardast fayeda yah hain ki ye business bilkul hi free mein shuru ho jata hain | aapko bas Affiliate Program ko join karna hain or bus waha se kisi product ka link generate karna hain or usko apne blog ya social media par share karna hain jaise hi koi person us link par click karke kuch buy karega to uska kuch percent commission aapko bhi milega 


No Need To Create Yourself A Marketing Material

Affiliate Marketing ka ek or fayda ye hain ki aapko kisi bhi marketing meterial ko banane ki koi jarurat nahi hainye sab meterial aapko affiliate program company provide karati hain   

Many Ways Of Working

Affiliate Marketing karne ke liye sabse accha wah popular tarika website ya blog bana kar karne ka hain | but keval ye tarike nahi hain affiliate marketing karne ke liye or bhi bahut sare tarike hain jaise youtube videos bana kar social media par share karke paid promotion or bhi bahut sare tarike hain   

CONCLUSION 

 Dosto aaj ke is article mein meine aapko bataya hain ki affiliate marketing kya hain? what is affiliate marketing and affiliate marketing ke fayede kya hain ? benefits of affiliate marketing ? agar aapko ye article acchha laga ho or aap is knowledge ko apne dosto ke sath bhi share karna chahte ho to aap is article ko apne dosto ke sath jarur share kare or agar aapko humse kuch puchna ho to aap comment box mein puchh sakte ho 

Leave a Comment