Latest 10 WhatsApp Tips And Tricks In 2021 | Aap In Whatsapp Tips And Tricks Ke Baare Me Nahi Jante

aaj ke time mein whatsapp ek popular messenger ban chuka hain or india ya all over world ke ander koi bhi aisa person nahi hoga jo smartphone use karta hain or whatsapp ka use nahi karta or aise me aapko whatsapp ke hidden features ke baare me bhi pata hona chahiye taaki aapko whatsapp ka use karne mein koi problem na aaye or isi ko dekhte hue me aaj aapke liye Whatsapp ke kucch aise feature lekar aaya hu jinko janne ke baad aapko whatsapp use karne mein pahle se bhi jyada maza aayega or aap in features ki help se apni friends ke bhi najare le sakte ho wo bhi aapse pucchenge ki ye kaise kiya to aapko usko hamara article share kar dena hai

jab tak mujhe is whatsapp tips and tricks ke baare nahi pata tha tab mujhe bhi whatsapp boring sa sakta tha par jab se mujhe in whatsapp hidden feature ke baare mein pata chala jab se mujhe whatsapp ka use karne me bahut hi maza aata hain or agar aapko bhi whatsapp boring lagta hain to aapko is post ko last tak read karna hain agar aap is article ko last tak read kar lete ho to uske baad aapko whatsapp boring nahi lagega

sabse jyada whatsapp ka use hum apne friends ya relative image,video,sticker or Gif bejne ke liye karte hain or hamara jyada dhiyan whatsapp ki setting ki taraf nahi jaata hain or hume whatsapp ki kon kon si settings hain iske baare mein pata nahi chal pata par aap fikr mat karo kyuki aaj me aapko latest 10+ whatsapp tips and tricks in 2021 ke baare me batane wala hun iske baad aapko whatsapp hidden feature kon kon se hai iske baare me pata chal jayega to chaliye jyada time barbad nahi karte hain or is article ko shuru karte hain

1. Listen Audio Privetly

Listen Audio Privetly bhi ek bahut hi majedar whatsapp ka hidden feature hain

listen audio privetly

aapko me aasan sabhdo me bata deta hun ye listen audio privelty hidden feature kya hain | maan lijiye ki aapke paas kisi ne koi audio bheji or aapke paas aapke friend ya relative bethe hain or ye audio aapko sunni bhi jaruri hain or aapke paas aapka earphone bhi nahi or wo audio aapke liye sunni bahut jaruri hain to aap kaise sunoge don’t worry whatsapp ne isi ko dekhte hue aapke liye ye hidden feature banaya hain us audio ko sunne ke liye aapko usko play karna hain or apne ear ke paas apne mobile ko lgana hain or aapko ye audio sun jayegi or dusro ko pata bhi nahi chalega mujhe to ye whatsapp hidden feature bahut accha laga aapko kaisa laga comment me jarur batana

2. Stop Last Seen Status

last seen status bhi ek bahut hi accha whatsapp hidden feature hain | par bahut se logo ko nahi pata ki last seen status feature kya hain or iska use kaise karna hain

last seen status ek aisa feature hain jiski help se aapke friends ye pata laga sakte hain ki aap online kab aaye the

stop last seen status

agar aapko bhi is setting ko disable karna ho to aapko apne whatsapp ko open karna hain or uske baad aapko right side me ek three dot ka option dikhega us par aapko click karna hain

Three Dot – Settings-Account-Privacy-Nobody

3. Edit Photos On Whatsapp

bahut saare aise log hain jo apni photo whatsapp par share karne se bahut saari apps me edit karta hain par kya aapko nahi pata ki aap apni photo ko whatsapp me hi edit kar sakte ho agar aapko janna hain to padhte rahiye

edit photos on whatsapp feature

dosto ab aapko apna whatsapp open karna hain or us account ya contact ko open karna hain jisko aap photo bhejna chahte ho or uske baad aapko image send karne wale option par click karna hain or us image ko select karna hain jaise hi aap us image ko select karte ho to uske baad aapke samne 4 option aa jayenge jaise aapko image me dikh rahe honge

  1. Crop= agar aapko image crop karni hain to is par click kare
  2. Emoji=photo me emoji lagane ke liye emoji par click kare
  3. Text = image me text likhne ke liye is par click kare
  4. Pencil = colour karne ke liye pencil par click kare

4. Get The Info Of Massage

get the info of massage bhi ek bahut hi accha whatsapp hidden feature hain

know who read massage

agar aapne kisi whatsapp group me koi massage kiya hain or aap ye dekhna chahte ho ki us massage ko kis kis ne read kiya hain to phir aap is whatsapp hidden feature ka use kar sakte ho uske liye aapko us massage par click karke rakhna hain or phir aapko yaha right side me ek three dot ka option dikhega us par aapko click karna hain or ab info par or phir read by par

Three Dot-Info-Read By

5. Reply Privetly

reply privetly bhi ek bahut hi accha whatsapp hidden feature hain

reply privetly

kabhi na kabhi to aapne bhi kisi whatsapp group ko join to kiya hi hoga or massage bhi kiya hoga par agar aapko kisi bande ko personly ya privetly massage karna ho to aap kaise karoge iske liye aapko apne us massage par press karke rakhna hain or phir aapko yaha upar three dot par click karna hain or uske baad aapko reply privetly par click karna hain

Press On Massage- Three Dot-Reply Privetly

6. Whatsapp Group Video Call

whatsapp group video call bhi ek bahut hi accha feature hain jiski help se aap apne friends ke sath group video call kar sakte ho or ye feature pahle whatsapp me nahi hota tha ye abhi new launch hua hain

whatsapp group video call

aap bhi is feature ka use kar sakte ho kyuki ye bahut hi accha feature hain | agar aapko apne sabhi friends se ek sath video call karni hain to aap is feature ki help se kar sakte ho iske liye aapko us whatsapp group ko open karna hain jisme aap video call karna hain | ab aapko yaha upar ek call ka option dikhega is app aapko click karna hai or ab aapke samne aapke sare friends aa jayenge inme se aapko wo select karne hain jinke sath aap video call karna chahte ho

open group-click call icon-select friends-video icon

7. Send Payment

send payment bhi whatsapp ka ek bahut hi accha feature hain iski help se aap apne friends ya relative ko paise send kar sakte ho jaise aap phone pay,google pay or paytm etc se bhejte ho

send payment

ye feature pahle whatsapp me nahi hota tha or whatspp ne is feature ko abhi launch kiya hain agar aapko bhi is feature ka use karna hai to aapko uske liye apne whatsapp ko update karna hain or uske baad aapko us contact ya account ko open karna hain jisko aap payment send karna chate ho ab yaha niche jaha se hum massage likhte hain uske sath me aapko ek link wala option dikhega us par click karna hain or ab aapke samne ek box sa aa jayega isme aapko payment wala option bhi dikh raha hoga

8. Stop Anyone Adding You To Group

Stop Anyone Adding You To Group ye bhi ek bahut hi accha whatsapp hidden feature hain | kyuki pahle aapke friends ya relative bina pucche aapko kisi bhi group me add kar dete the jo hume bilkul bhi accha nahi lagta tha or isi problem ko dekhte hue whatsapp ne ye feature banaya agar aapko bhi is group adding wali problem se bachna hain to aapko bhi is feature ka use karna chahiye

stop anyone adding in group

is feature ka use karna bahut hi aasan hain iske liye aapko apne whatsapp ko open karna hain or uske baad aapko yaha three dot dikhega right side me is par click karna hain or phir aapko setting par click karna hain or ab privacy par click kare or phir my contacts par click karde

Three Dot-Privacy-My Contacts

9. Reply For Specific Massage

Reply For Specific Massage ye bhi ek bahut hi accha whatsapp hidden feature hain | jiski help se aap kisi ko specific reply kar sakte ho jaise maan lijiye ki aap kisi ek whatsapp group me add ho or vaha par bahut saare bande massage kar rahe hain or aap kisi ek app ka reply karna chahte ho to uske liye aapko us masage par press karke rkhna hain or phir forward par click kar dena hain

reply for specific massage

or agar aap us massage ko swipe bhi karte ho to tab bhi aap uska reply kar sakte ho mujhe to ye feature bahut accha laga aapko kaisa aga comment box me jarur se batana

10. Enable Finger Print Lock

ye bhi whatsapp ka bahut hi accha feature hain jiski help se aap apne whatsapp account ko lock kar sakte ho or ye bahut hi sahi feature hain kyuki aapki permission ke bina koi aapke whatsapp ka use nahi kar sakta hain me to is feature ka use kar raha hun aapko bhi is feature ka use karna chahiye

enable finger print lock

finger print lock enable kaise kare iske liye aapko apne whatsapp account ko open karna hain or uske baad aapko three dot par click karna hain or uske baad settings par or uske baad privacy par or phir unlock with finger print par ab yaha par apko apni finger lagani hain or ye lock enable ho jayega

CONCLUSION

guys aaj ke is article mein humne aapko bataya hain 10+ latest whatsapp tips and tricks ke baare me whatsapp hidden feature ke baare me agar aapko ye article accha laga ho or aapko kucch sikhne ko mila ho to please knowledge ko apne dosto ke sath bhi share kare i hope apne enjoy kiya hoga to milte hain apne next article me jab tak ke liye jay hind vande matram

Leave a Comment