Introduction !
hello dosto swagat hain aapka website ke ek or new article mein aaj ke is article mein hum baat karne wale hain click bank ke baare mein ki click bank kya hain or click bank se paise kaise kamaye sakte hain agar dosto aapko online ghar baithe paise kamane hain to aapko is article ko complete read karna hoga kyuki ye ek aisi website hain jaha se aap jitna chaye utna paisa kama sakte ho or mein aapko aage step by step acche se batane wala hun to chaliye jyada time waste na karte hua shuru karte hain
What Is Click Bank ?
kisi bhi kaam ki shuruat karne se pahle hume us kaam ke baare mein acche se janna chahiye kyuki agar hume kisi kaam ko karne se pahle uske baare mein pata chal jaye to hume kisi bhi tarah ki problem ka samna nahi karna padega isliye mein aapko pahle hi click bank ke baare mein bata deta hun ki click bank kya hain kyuki agar aapko click bank ke baare mein pata chal gaya to aapko ispe kaam karne mein koi problem nahi hogi to chaliye acche se jante hain ki click bank hain kya ?
click bank kya hain? click bank ek affiliate program provider karane wali company hain | is website se aap jitna chaaye utna paisa kama sakte hain | kyuki agar aapko affiliate marketing ke baare mein knowledge hain to phir aap accha paisa kama sakte ho kyuki yaha par aapko bahut sare digital product mil jayenge jinko aap promote karke acchi commission kar sate ho
click ke bhi milte hain paise – dosto ye ek aisi affiliate website hain jo aapko click ke bhi paise deti hain | maan lijiye ki aapne paise laga kar kisi product ko promote kiya or waha se aapko koi sell nahi mili to bahut si website aisi hoti hain jo aapko iska ek bhi paisa nahi deti hain | but jo ye click bank website hain ye aapko click ka bhi paisa deti hain isliye meine aapko bataya hain ki ye ek bahut hi acchi website hain
Click Bank Se Paise Kaise Kamaye ?
click bank kya hain ? iske baare mein to meine aapko upar bata hi diya hain | or ab mein aapko batane wala hun ki aap click bank se paise kaise kamaye sakte ho | click bank se paise kamane ke liye aapko sabse pahle to ek funnel banana hoga or uske baad aapko apne is funnel ko optimize karna hain | or phir aapko apne is funnel par ads lagani hain or isko promote karna hain | isme aap logo ke emails mobile nmber naam etc collect kar sakte ho or baad mein unko apne product se related massege send kar sakte ho isse wo aake product ko buy kar sakte hain
Product Kya Chune ?
dosto ye to ho gayi saari bate ki click bank kya hain ? or click bank se paise kaise kamaye or ab mein aapko batane wala hun ki aap click bank se konsa proct select karoge kyuki ek product bhi bahut important hota hain kyuki agar hum sahi product ko choose nahi karenge to hume sells nahi milengi isliye hume ek acche product ko choose karna hain
jaise ki aapko pata hi hoga ki click bank mein ek graviti ka option ya system hota hain ab mein aapko bata hun ki iska matlb kya hain | jab bhi aapko apne kisi product ko choose karte ho to aapko us time gravity ka dhiyan jarur rakhna chahiye kyuki yahi wo hain jo aapki sells increase kara sakta hain jab kabhi bhi aap product ko choose karte ho to us time aapko 20 gravity wale product ko hi choose karna chaiye kyuki is par competition kam hota hain or aapko acchi sells bhi mil jaati hain
agar apko benefit chahiye to aapko 20 gravity wale product ko hi choose karna chahiye
Click Bank Par Account Kaise Banaye ?
click bank kya hain or click bank kaise kaam karta hain or click bank se paise kaise kamaye iske baare mein to meine aapko upar bata hi diya hain pr ab mein aapko batana chahata hun ki aap click bank par account kaise banaye sakte ho kyuki bahut se logo ko click bank par account kaise banaye iske baare mein nahi pata to mein aapko step by step batane wala hun to chaliye jaan lete hain ki click bank par account kaise banaye ?
click bank par account banane se pahle hume ek baat janni jaruri hain jo hain iske features to chaliye click bank ke feature kya hain iske baare mein jaan lete hain
Click Bank Features
click bank mein 2 feature hain
- vendor
- affiliate
ye 2 feature hain jo bahut hi aham role ada karte hain to chaliye jaan lete hain
Vendor Feature Kya Hain ? is feature ka use wo log karte hain jinke paas koi product ya software hain to usko aap yaha par sell karne ke liye kar sakte ho jaise aapke paas koi editing software ya product hain to aap usko yaha par sell karke paise kama sakte ho
Affiliate Feature Kya Hain ? affiliate marketing wo log karte hain | jo kisi dusre ke product ko promote karke paise kamana chahte hain | maal liye ki agar aapke paas social media jaise instagram, facebook, youtube par acchi following hain to aap iske product ko social media par share karke acchi khasi commission bana sakte
Account Kaise Banaye
dosto ab mein aapko batane wala hun ki aap click bank par account kaise banaye iske baare mein jaan lete hain
click bank par account banane ke liye aapko kucch aasan se step follow karne honge or uske baad aapka account ban jayega
click bank par account banane se pahle to aapko is website par jaana hoga clickbank.com jaise hi aap is website par chale jaoge to uske baad aapke samne 3 stps aayenge jaise
- personal information
- banking information
- account information
jaise hi aap ye saari information sahi se fill karni hain kyuki baad mein hume yaha se payment lene mein koi problem nahi hogi
sabhi information sahi se bharne ke baad aapka account ready ho jayega or uske baad aap isme apne username or password ke sath login kar sakte ho
CONCLUSION
Dosto aaj ke is article mein humne aapko bataya hain ki click bank kya hain or click bank se paise kaise kamaye i hope ki aapko mere dwara bataye gaye is article se bahut kucch sikhne ko mila hoga agar aapko is article se kucch sikhne ko mila hain to aap hume comment box mein jarur se batana to guys milte hain apne kisi or article mein tab tak ke liye jay hind vande matram