What Is Blogging And How To Earn Money From Blogging 2021 | Blogging Se Paise Kaise Kamaye ?

Introduction !

hello dosto kaise ho i hope acche hi hoge or is article ko padh kar enjoy kar rahe hoge guys aaj ke is article ko mein badi hi request ke baad likh raha hun kyuki bahut se mere bhai mujhse pucch rahe the ki bhai blogging kya hain or hum blogging se paise kaise kamaye sakte hain | or un bhaiyo ki request par mein ye article likh raha hu i hope ki aapko ye article accha lagega or mein aapko 100% ye guarantee deta hun ki agar aap is article ko pura padh lete ho to uske baad aapke mind mein blogging se related koi bhi question ya query nahi rahegi or aap blogging se paise bhi kamane shuru kar doge or agar aap is article ko yahi par hi chhod kar chale jaoge to phir aap kabhi bhi blogging se paise nahi kama paoge or aap ek bahut badi opportunities miss kardo ge to chahiye jyada bakwas nahi karte or is article ko shuru karte hain

What Is Blogging ?

to guys mein aapko upar introduction to de hi diya hain or ab mein aapko batane wala hun ki blogging kya hota hain kyuki agar aapko ye nahi pata hoga ki blogging kya hai to aap blogging se paise kaise kamaye paoge to chaliye jaan lete hain ki blogging kya hain

guys aap google par to apni query ya question to search karte hi hoge or aapko vaha par bahut saare result dikhte hi hone or jo vah results hote hain or wo kisi humare or aap jaise loge ke dwara hi likhe jaate hain or wo isse paise bhi kamate hain

jaise maan lijiye ki aapne google par search kiya ki online paise kaise kamaye or aapko vaha bahut saare result dikhte hain or aap un par click kar dete ho to aap ek website par chale jaate ho jaha par ye article likha hota hain or ab aapko vaha par bahut saari ads dikhti hain jinke badle mein us website owner ko paise milte hain |

jaise aap log jante hain ki website or blog banane ke liye aapko computer language ka aana jaruri hain | par aapko kisi coding or computer language ki koi jarurat nahi hain

Blog Se Paise Kaise Kamaye( How To Earn Money From Blog )2021

blogging se paise kamane ke liye aapko sabse pahle to ye janna hoga ki blogging se paise kamane ke un sabh tariko ke baare mein batane wala hun jinki madad se aap blogging se paise kama sakte ho vaise to blogging se paise kamane ke bahut saare tarike hain par mein aapko kucch aise aasan tarike batane wala hun jinki madad se aap badhi hi aasani se paise kama sakte ho to chaliye shuru karte hain

Blogging Se Paise Kamane Ke Tarike ?

vaise to blogging se paise kamane ke bahut saare tarike hain par mein aapko kucch aise aasan se tarike batane wala hun jinki help se aap bahut hi acche paise kama sakte hain

  1. Adsense Se Paise Kaise Kamaye
  2. Affiliate Marketing Se Paise Kamaye
  3. Sponsor Post Se Paise Kamaye
  4. Course Sale Karke Paise Kamaye
  5. Paid Review Karke Paise Kamaye
  6. Ebook Sale Karke Paise Kamaye

Adsense Se Paise Kamaye

blogging se paise kamane ka sabse accha or sabse aasan tarika adsense hain | bahut saare blogger apne blog par ads laga kar paise kamate hain | inme sabse popular google ka ek product adsense advertisement platform hain iski madad se aap apne blog par ads show karke earning kar sakte ho par isse pahle aapko google adsense mein apni site ko register karna hoga or jab bhi aapki site ko adsense ki taraf se approval mil jayega uske baad aapko google adsense ke kucch codes apne blog par paste karne hote hain uske baad jab bhi koi user aapki site par aayega or use wo ads show hongi jo aapne lagayi hain or agar wo in ads par click kar dete hain to uske badle mein aapko paise milte hain to is tarah se aap google adsense ka use karke paise kamaye sakte ho 

Affiliate Marketing Se Paise Kamaye ?

Blogging se paise kamane ka dusra or sabse accha tarika affiliate marketing hain aap affiliate marketing karke bhi bahut acche paise kama sakte ho aap apne blog se affiliate marketing ke dwara bhi paise kama sakte ho kyuki adsense ke baad affiliate marketing blog se paise kamane ka bahut hi sahi or accha tarika hain | or jaha adsense aapko per click ke hisab se paise deta hain pr vahi affiliate marketing se aap acchi earning kar sakte ho iske liye aapko kisi affilate network ko join karna hoga jaise hi aap kisi affiliate network ko join kar lete ho to uske baad aapko vaha se kisi product ka link lena hain or apne blog mein daal dena hain jaise hi koi person aapke link se kucch product purchase karega to uske badle mein aapko acchi commission milegi 

Sponsor Post Karke Paise Kamaye ?

blogging se paise kamane ka ek or tarika hain jo mujhe to bahut accha laga or aap is tarike se bhi bahut hi acche paise kama sakte ho jiska naam hain sponsor post ji haa dosto aap kisi company ki sponsor post karke bhi acche paise kama sakte ho

bahut saari aisi company hain jo apne product ko kisi blogger se promote karati hain or wo kisi blogger ko kahte hain ki wo hamare kisi product par ek article apne blog ya website mein likh de or is kaam ke liye wo aapko bahut hi acche paise bhi dete hain | hum proper ye to nahi bata sakte ki aap isse kitne paise kama sakte par itan jarur bata sakte hain ki aapko ye ek post ka $100 se $200 de sakte hain agar aapke blog par 10k tak bhi traffic aata hain or aapka ek do article google mein rank karta hain to

Course Sale Karke Paise Kamaye

guys yadi aap me koi skill hain or aap apni skill se paise kamana chahte ho to aapko apne courses sale karne honge or unki help se aap ghar baithe acche khase paise kama sakte ho to chaliye jaan lete hain un skills ke baare mein

Online Teaching Karke Paise kamaye dosto yadi aapne koi padhayi ki hain or aap usme master ho to aap apne Chhote chhote videos bana kar apna ek course tiyar kar sakte ho or usko aap apne blog ki help se logo ko sale kar sakte ho or usse paise bhi kama sakte to is tarah se aap aap online teaching karke bhi acche khase paise kama sakte ho

Online Classes Le Kar agar aapko baccho ko kucch nayi chije sikhana pasand hain to aap online classes lekar bhi acche paise kama sakte ho kyuki aaj ke time sabhi chahte hain ki wo online hi coaching le is tarah se aap bhi apna online coaching center khol sakte ho

Paid Reviews Karke

blogging se paise kamane ke kucch tariko ke baare mein to meine aapko upar bataya hain | par ab mein aapko ek tarike ke baare mein batane wala hun jiski help se aap badi hi aasani se paise kama sakte ho or wo hain paid reviews karke paid reviews bhi ek affiliate marketing ki tarah hain kyuki bahut si aisi company hoti hain jo aapko apne kucch product ka review karne ke liye kahte or iske badle mein wo aapko acche khase paise bhi dete hain ye paise kitne honge iske baare mein to me aapko nahi bata sakta par ek idea jarur de sakta hun ki ye aapko per review ke 100$ se 200$ tak de dete hain

Ebook Sale Karke Paise Kamaye

agar dosto aap kisi bhi kaam me expert ho jaise ki aapko digital marketing aati ho ya phir aap ek web designer bande ho to aapko apni ebook teyar karni chahiye or unko sale karna chahiye ji haan dosto ebook sale karke bhi bahut se bande aise hai jo lakho rupaye ghar baithe kama rahe hain or aap bhi apni ebook ko sale karke bahut hi acche paise kama sakte ho to is tarah se aap online paise kama sakte ho

CONCLUSION

Guys aaj ke is article mein humne aapko bataya hain ki aap blogging se paise kaise kamaye sakte ho or blogging kya hain? agar aapko ye article accha laga ho to please isko apne dosto ke sath jarur se share karna or agar aapko humse kucch bhi pucchna ho to aap comment box mein pucch sakte ho i hope ki aapko ye article accha laga hoga or agar accha laga hain to commentkarke jarur batana to guys milte hain apne kisi or article mein tab tak ke liye jay hind vande matram

Leave a Comment