7 Top Courses After 12th
student jab 12th complete kar lete hain to uske baad unke mint mein ek question chalta rahata hain | apne career ko lekar vah sochte hain ki unko 12th ke baad kya course karna chahiye taki aage chal kar unko ek acchi job mil sake r ye problem utni bhi hard nahi hain jitni hum sochte hain kyuki ye to ek pahla kadam hain course selection ka
isliye hume kisi bhi course ka selection karne se pahle acche se decision lena chahiye ki 12th ke baad hume kya karna hain, jaise ki aap sabhi jaante hain ki badalte time ke sath sabhi badal raha hain or hume is badalti duniya ke sath badalna chahiye taki aage aane wale time mein hume koi problem naa aaye
kaha jaata hain ki success hard work se nahi balki right time se milti hain | isliye aapko sahi time ka wait karna chahiye jab sahi time aa jayega us din aapko success bhi mil jayegi to chaliye jaan lete ho best career option after 12th
Best career option after 12 vaise to 12th ke baad career option bahut jyada hain | par aapko apne interest ke hisab se chunna chahiye taaki aapko aage chal kar koi problem naa aaye or jimse aapko salary bhi acchi mile to chaliye jaan lete hain top courses after 12th
1. Graduate In Any Stream
12th ke baad ek sabse accha option ye hain ki aapko kisi bhi stream mein graduate kar leni chahiye jaise(science ,commarce art ) iska time period 3 year ka hota hain | graduate karne ke baad aap post graduation kar sakte ho jaise m.a B.sc P.hd etc course kar sakte ho
agar aap apna graduate compete kar lete ho to uske aap goverment job ke liye apply kar sakte kyuki jyada tar goverment jobs me graduate ki vacancy nikalti hain | or graduate karne ke baad aap private sector mein job ke liye apply kar sakte ho kyuki aaj ke time mein sabse jyada private sector mein jobs ki vacancy nikalti hain
mostly private companies mein graduation ki demand chal rahi
2 . Police Service
police service ki importance kitni hain india mein kise nahi pata sab jante hain | or agar aapne bhi apni 12th complete kar li hain to aap bhi iska benefit utha sakte ho
india mein police service join karne ka alag alag process hota hain jaise writen exam,physical or kayi baar to direct hi joining ho jati hain aaaj ke time mein dekha jaye to jyada tar youngestar police service ke picche ja rahe hain iska kaaran ye hain ki iske entrace exam or goverment jobs ke exams se kucch aasan hain or kayi baar to bina exam ke bhi joining hi jati hai isliye aap apna career 12th ke baad isme bana sakte ho
3. National Defense Academy
agar aap bhi apne desh ki raksha karna chahte ho to aapko 12th ke baad NDA ka ke entrance ke liye apply kijiye kyuki NDA India goverment ki ek bahut hi most valueable posto mein se hain
NDA ka entrance exam UPSC ke dwara kiya jaata hain | iske entrance exam ke liye aapko physics or math ke sath 12 paas bhi hona chahiye or aapko age 16.5 se 19 tak honi chahiye tabi aap iske liye elegible ho sakte ho
NDA Ka exam year me 2 baar hota hain or ye april or september ke mahine me hota hain
aap apply karke iski tyari kar sakte ho jab tak iski date na aa jaye kyuki agar sapna bada hain to tyari bhi badi hi honi chahiye tabhi sapna pura hoga
4. Pharmacy Courses
Pharmacy bhi ek bahut hi accha course hain | basicly pharmacy mein 2 course hote hain ek B.Pharmacy or dusra D. Pharmacy B.Pharmacy ko hum bachelor pharmacy kaha jata hain
ye course 4 year kaa hota hai jise karne ke baad aap pharmacist ki practice kar sakte ho or pharmacy karne ke baad aap aap foreign mein bhi jakar job kar sakte ho or aapko vaha par bhi bahut hi acchi salary mil jayegi kyuki foreign me pharmacy ki bahut demand hain
D.Pharma ka pura naam diploma in pharmacy hota hain or iski value B. Pharma se kam hain or ye 2 year ka hota hai or agar aapko iske baad B. Pharma karna hain to aap isme admission le sakte ho
5. Fine Art
fine art ka crage din parti din badhta hi jaa raha hain | kyuki art ab ek road art hi nahi rahe gaya aap art mein degree bhi le sakte ho or art industry mein apna career bana sakte ho
fine art course karne ke baad aap apne art ko ek naya mode de sakte ho or apni art ki kalla ko bhi nikhar sakte ho or apne career ko ek accha boost de sakte ho
ye ek aisa field hain jisme designers or artist ki demand badhti hi jaa rahi hain agar aap bhi is field me apna career bana sakte ho
fine art mein admission lene ke liye bahut si organization aise hain jo aapko entrance ke base par admission deti hain par bahut si aise hain | jo bas 12th paas ki merit list ke hisab se admission deti hain
fine art ka course duration 4 year ka hota hai yadi aap is course mein acche se degree le lete ho to uske baad aapke samne career ke bahut saare option khul jaate hain
Estimated Salary
isme kitni salary milegi iske baare mein hum aapko kucch nahi bata sakte hain par itna jarur bata sakte ki is job mein aapko 12,000 se 18,000 tak salary mil jate hain
Career Opportunities
fine art mein career opportunities to bahut hain fine art ki degree lene ke baad aapko bahut sari career opportunities dikh jayengi jaise ki aap kisi newspaper mein kaam kar sakte ho or tv news mein or bhi bahut saari jagha aap kaam kar sakte ho
6. YouTube Channel
dosto aapne youtube ke baare mein to suna hi hoga kyuki youtube ek sabse badha video platform hain jaha par aap apni videos ko upload karke paise kama sakte hain | or iske liye aapko 12th paas ki jarurat nahi hai but phir bhi maine aapko iske baare mein batana sahi samja kyuki youtube par itni jyada opportunities hain ki aap jitna hi chahyee utna jyada paisea kama sakte ho iske liye bas aapko apne mobile mein youtube app mein ek channel banana hain or channel kaise banate hain iske baare mein aap youtube par hi search kar lena hain
Salary
aapko yaha par koi salary nahi ab aap soch rahe honge ki jab salary hi nahi milegi to is kaam ko karne ka kya fayeda hain | to rukiye mein aapko bata deta hun ki youtube se aapko income hogi naa ki salary milegi isliye yaha par aapko bahut jyada income hone wali hain
Career Opportunities
youtube par career opportunities bhi bahut jyada hain | agar aap youtube mein apna career banana chahte ho to aapko ek dedication se youtube par kaam karna hoga aapko ye jaan kar achambha hoga ki aaj ke time mein bahut se aise youtuber hain jo youtube ko full time kar rahe hain or isse acche khase paise bhi kama rahe hain | to dosto ye kaam aapke liye bahut hi accha hain or aap is kaam ko badi hi aasani se kar sakte ho
7. Blogging Karke
guys aapne blogging ke baare mein to suna hi hoga or agar aapko blogging ke baare mein nahi pata to mein aapko bata deta hu ki bloging kya hoti hain or aap bloggin kaise kar sakte ho | bloggin hoti hain ki aapko jo bhi knowledge hain usko logo ko writen form mein batana hain or aap jitne bhi article likhte ho or google adsense ka appraval le lete ho to uske baad aapko paise milne shuru ho jayenge
Salary
friends mein aapko phir se bata deta hun ki jis tarah se aapko youtube par kaam karne ki salary nahi milti usi tarah se aapko blogging karne ki bhi salary nahi milti balki iske badle mein aapko income hoti hain ye income har month alag alag hoti hain | kisi month 20,000 to kisi month 10,000 is tarah se aapko income hoti hain
Career Opportunities
youtube ki tarah bloging mein bhi kafi jyada opportunities hain | agar aap bloggin sikh lete ho to uske baad aapke samne career option khul jayenge kyuki isme bahut hi jyada career option hain jaise ki aap kisi ke liye article likh sakte ho or ya phir apna ek blog start kar sakte ho is tarah se blogging ke field mein aap apna career bana sakte ho
CONCLUSION
Guys aaj ke is article mein humne aapko bataya hain ki aap 12th baad kya kare , top courses after 12th ke baare mein or agar aapko ye article accha laga hoga to aap isko apne dosto ko bhi share kar sakte ho taki aapke friends ko bhi kucch fayda ho jaye i hope ki aapko ye article accha laga hoga to milte hain apne kisi or article mein tab tak ke liye jay hind vande matram
Salary